WIRASAT MERI NAFRAT KA WAARIS CHAPTER 13 BADSHAH
READING AGE 16+
WIRASAT: MERI NAFRAT KA WAARIS Chapter 13: "Badshah" ~_~_~ 5 saal. 5 saal mein Shamsher Sikandar badal gaya tha. Mafia ka Badshah ab sirf ek baap tha. Sikandar Group ka CEO ab sirf ek shohar tha. Aur nafrat ka waris... ab mohabbat ka muhafiz ban gaya tha. Lekin... Badshah ki kismat mein sakoon kahan? ~_~_~ SIKANDAR MANSION - SUBAH "Papa! Dekho main kya laya!" Chota Sikandar daurta hua aya. Haath mein toota hua khilona. Aankhon mein aansu. "Ali ne mera robot tor diya. Kehta hai main mafia ke betay se nahi khelta." Shamsher ne usay godi mein uthaya. 5 saal mein pehli dafa us ki aankhon mein purani aag dikhi. "Kis ne kaha ye?" "Ali ke abba. Kehtay hain aap qatil hain. Aap ne bohot log maaray hain." Zoya kamray mein aayi. Us ne Sikandar ko Shamsher se le liya. "Beta, jao apne kamray mein. Mama aati hai." Sikandar chala gaya. Zoya ne Shamsher ko dekha. "Dekh liya? Main kehti thi na... maazi peecha nahi chhorta. Hum badal gaye. Lekin duniya nahi badli. Log nahi bhoolay." Shamsher ne ghoont bhar ke whisky ka glass mez pe patakh diya. "To yaad dilana paray ga. Ke Shamsher Sikandar ab bhi zinda hai." "Shamsher!" Zoya us ke samnay aa gayi. "Nahi. Tum wada karo. Tum haath nahi uthao ge. Warna... warna Sikandar bhi wahi banay ga jo tum thay. Nafrat ka waris. Main apne betay ko qatil nahi ban'nay dun gi." Shamsher ne us ki aankhon mein dekha. Aur hathiyar daal diye. "Theek hai. Nahi uthaun ga haath. Lekin Zoya... agar mere betay ko kisi ne haath bhi lagaya... to main bhool jaun ga ke main baap hun. Sirf Badshah yaad rahe ga." ~_~_~ JAIL - USI RAAT Samreen salakhon ke peechay baithi thi. 5 saal mein budhi ho gayi thi. Baal safaid. Aankhein andar dhans gayi thi. Darwaza khula. Ek aadmi andar aya. Soot mein. Chehra jaana pehchana. "Pechan'a mujhe?" Samreen ne ghaur se dekha. Aur us ki saans ruk gayi. "T-tu? Tu to mar gaya tha..." "Nahi mara." Aadmi ne kaha. "Main zinda hun. Aur 5 saal se tera intezaar kar raha tha. Shamsher ne tujhe yahan dalwaya. Main tujhe nikalwaun ga. Bas ek shart pe." "Kaun si shart?" "Us ke betay ko maro. Sikandar ko. Shamsher ki kamzori. Usay cheen lo. Phir dekho Shamsher kaise tarapta hai. Kaise wapas aata hai purani duniya mein. Aur jab wo wapas aye ga... tab hum usay maar dein ge. Dono mil ke." Samreen ke honton pe 5 saal baad muskurahat aayi. Zehrili. "Manzoor hai. Lekin tu hai kaun?" Aadmi ne apna coat utaara. Baazu pe nishan tha. Aag ka. "Main wo hun Samreen... jis ke baap ko Shamsher ke baap ne zinda jalaya tha 20 saal pehle. Main inteqaam hun. Aur ab... ab Shamsher ki barbaadi ka waqt aa gaya hai." ~_~_~ SIKANDAR MANSION - AADHI RAAT Shamsher soya hua tha. Tabhi usay laga jaise koi usay dekh raha ho. Us ki aankh khuli. Khirki khuli thi. Parda hil raha tha. Aur khirki ke sheeshay pe... laal se likha tha: "5 SAAL HO GAYE BADSHAH. AB HISAB KA WAQT HAI. TERA WARIS MERA HOGA." Neeche dastakhat thay. Aag ka nishan. Shamsher bistar se utha. Zoya aur Sikandar ko dekha. So rahay thay. Mehfooz. Us ne mobile uthaya. Rashid ko call ki. "Rashid. Sab ko jaga do. Ghar ke chaaron taraf aadmi laga do. Aur... aur mere purane hathiyar nikalwao." "Par sahib... aap ne Zoya baji se wada kiya tha..." "Wada tod raha hun." Shamsher ne khirki se bahar dekha. Andheray mein. "Kyunki Badshah wapas aa gaya hai Rashid. Apne waris ko bachanay. Aur is dafa... is dafa nafrat nahi... baap ka pyaar laday ga." Us ne pistol uthai. 5 saal baad. Aur lock kiya. ~_~_~ Agla Chapter: 'Wirasat' - Final. Aag ke nishan wala kaun hai? Kya Shamsher Sikandar ko bacha paye ga? Nafrat jeetay gi ya mohabbat?
Unfold
WIRASAT: MERI NAFRAT KA WAARIS
Chapter 13: "Badshah"
~_~_~
5 saal.
5 saal mein Shamsher Sikandar badal gaya tha.
Mafia ka Badshah ab sirf ek baap tha.
Sikandar Group ka CEO ab sirf ek shohar tha.
Aur nafrat ka waris... ab mohabbat ka muhafiz ban gaya tha.
Lekin.……
Dear Reader, we use the permissions associated with cookies to keep our website running smoothly and to provide you with personalized content that better meets your needs and ensure the best reading experience. At any time, you can change your permissions for the cookie settings below.
If you would like to learn more about our Cookie, you can click on Privacy Policy.
Waiting for the first comment……